gar sahara na mile haidar ka
koi umeed bar nahi aati
zulmat=e-naza mein ali ke siva
koi surat nazar nahi aati
ae sakina kaho hussain ke baad
neend kyun raat bhar nahi aati
karbala ke siwa bhi gam hai kai
par tabiyat udhar nahi aati
koi samjhaye toh ho ali ki baat
varna kya baat karni nahi aati
hum ali ke ghulam hai humko
maut aati hai par nahi aati
No comments:
Post a Comment