na gul-e-naghma hun, na parda-e-saaz
main huun apni shikast ki awaaz
tu aur aaraaish-e-kham-e-kaakul
main aur andesha-e-haaye-duur daraaz
laaf-e-tamkeen fareb-e-saada-dil
hum hain aur raaz-haaye seena-e-gudaaz
hun girftaar-e-ulfat-e-sayyad
varna baaqi hai taaqat-e-parvaaz
nahin dil mein mere voh qatra-e-khoon
jis se mizhghaan hui na ho gul-baaz
mujhko poocha toh kuch ghazab na hua
main gharib aur tu gharib-nawaaz
'asadullah khan' tamaam hua
ae ! daroga voh rind-e-shaahid-baaz
No comments:
Post a Comment