mujhe sahal ho gayi manzilen, veh hawa ke rukh bhi badal gaye
tera haath haath mein aa gaya ki chiraag raah mein jal gaye
veh lazaye mere sawal pe ki utha sake na jhuka ke sar
udi zulf chehre pe iss tarah ki shabon ke raaz machal gaye
vahi baat jo na vo keh sake, mere shair-o-naghma mein aa gayi
vahi lab na main jinhe chuu saka kadah-e-shrab mein dhal gaye
vahi aastan hai vahi ashq ki vahi aastin
dil-e-zaar tu bhi toh badal ki jahan ke taur badal gaye
tujhe chasm-e-mast pata bhi hai ki shbaab gharmi-e-bazm hai
tujhe chasm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgeene pighal gaye
mere kaam aa gayi aakhrish yahi kavaishen, yahi gardishen
badhi iss kadar meri manzilen ki kadam ke khaar nikal gaye
No comments:
Post a Comment