na manzilen thin, na kuch dil mein tha, na sar mein tha
azab nazaara-e-laa-simtiyat[directionless view] nazar mein tha
ataab tha kisi lamhe ka ek zamaane par
kisi ko chaiin na bahar tha aur na ghar mein tha
chhupa ke le gaya duniya se apne dil ke ghaav
ki ek shaks bohat taaq[adept] is hunar mein tha
kisi ke lautne ki jab sada suni toh khula
ki mere saath koi aur bhi safar mein tha
jhijhak raha tha voh kehne se koi baat aisi
main chup khada tha ki sab kuch meri nazar mein tha
abhi na barse thay 'baani' ghire huye baadal
main udti khaak ki maanind rehguzar mein tha
No comments:
Post a Comment