ek naya mod dete huye phir fasana badal dijiye
ya toh khud hi badal jaaiye ya zamana badal dijiye
tar nivaale khushaamad ke jo kha rahe hain vo mat khaaiye
aap shahin ban jaayenge, aab-o-dana badal dijiye
ahl-e-himat ne har daur mein koh[pahad] kaate hain taqdeer ke
har taraf raaste bandh hain, ye bahana badal dijiye
ta'y kiya hai jo taqdir ne har jagah saamne aayega
kitni hi hizartein kijiye ya thikana badal dijiye
humko paala tha jis ped ne usske hi patte hi dushman huye
keh rahi hain daaliyan, aashiyana badal dijiye
No comments:
Post a Comment