teri rehmaton ke dayar mein tere badalon ko pata nahi
abhi aag sard hui nahin abhi ek alao bujha nahin
meri bazm-e-dil toh ujad chuki mera farsh-e-jaan toh simat chuka
sabhi ja chuke mere hum nashin magar ek shakhs gaya nahin
dar-o-baam sab ne saja liye sabhi roshni mein naha liye
meri ungliyan bhi jhulas gayin magar ek charagh jala nahin
gham-e-jindgi teri raah mein shab-e-aarzoo teri chah mein
jo ujad gaya vo basa nahin, jo bichad gaya vo mila nahin
jo dil-o-nazar ka saroor tha mere paas reh ke bhi duur tha
wohi ek gulaab umeed ka meri shaakh-e-jaan pe khila nahin
pas-e-karvan sar-e-rahguzar main shikasta pa hun toh iss liye
kai kadam toh sabse mila liye mera dil kisi se mila nahin
mera humsafar jo ajeeb hai toh ajeeb-tar hun main aap bhi
mujhe manzilon ki khabar nahin usse raaston ka pata nahin
No comments:
Post a Comment