Friday, May 29, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

khwab nagar hai ankhen khole dekh raha hun
ussko apni janiib aate dekh raha hun
kis ki aahat qarya qarya[village/town] phail rahi hai
diwaron ke rang badlte dekh raha hun
kaun mere jaadu se bach kar ja sakta hai
aaiina hun, sab ke chehre dekh raha hun
darwaze par tez hawaon ka pehra hai
ghar ke andar chup pe saaye dekh raha hun
jaise mera chehra mere dushman ka ho
aaiine mein khud ko aise dekh raha hun
manzar manzar virani ne jaal taane hain
gulshan gulshan bikhre patte dekh raha hun
manzil manzil hol mein duubhi aawazein hain
rasta rasta khauff ke pehre dekh raha hun
shehr sangdlaal mein 'amjad' har paste par
aawazon ke pathar chalte dekh raha hun

No comments:

Post a Comment

wel come