phuul sa kuch kalaam aur sahi
ek ghazal usske naam aur sahi
usski zulfen bahut ghaneri hain
ek shab ka qayaam[stay] aur sahi
zindagi ke uddas qisse hain
ek ladki ka naam aur sahi
karsiyon ko sunaiye ghazalen
qatl ki ek shaam aur sahi
kapkapaati hai raat siine mein
zehar ka ek jaam aur sahi
No comments:
Post a Comment