gazab kiya, tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezar kiya
hasa hasa ke shab-e-wasl ashkbaar kiya
tasalliyan mujhe de de ke beqaraar kiya
ham aise mahv-e-nazara na thay jo hosh ata
magar tumhare tagaaful ne hoshiyaar kiya
fasana-e-shab-e-gam unnko ek kahani thi
kuch aitabaar kiya aur kuch na-aitbaar kiya
ye kisne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha, haaye !!! beqaraar kiya
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gaiir kehte hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyaar kiya
bhula-bhula ke jataya hai unnko raaz-e-nihaa
chhipa-chhipa ke mohabbat ko aashkaar kiya
tumhe toh vada-e-diidar hamse karna tha
ye kya kiya ke jahan ko umeedvaar kiya
ye dil ko taab kahan hai ke ho maalandesh
unnhone vada kiya hamne aitabaar kiya
na puchh dil ki haqiiqat magar ye kehte hain
wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya
kuch aage daawar-e-mahshar se hai umiid mujhe
kuch aap ne mere kehne ka aitabaar kiya
No comments:
Post a Comment