Saturday, May 30, 2009

danish ki shayyiri

do jawan dilon ka gham, duriyan samjhati hain
kaun yaad karta hai, hichkiyan samjhti hain
tum toh khud hi qaatil ho, tum ye baat kya jaano
kyun hua main diwana, bediyan samjhti hain
baam se utarti hai jab hasiin doshiza
jism ki nazaakat ko, seediyan samjhti hain
yun toh sair-e-gulshan ko, kitne log aate hain
phool kaun todega, daliyan samjhti hain
jisne kar liya dil mein pehli baar ghar 'danish'
ussko meri ankhon ki putliyan samjhti hain

No comments:

Post a Comment

wel come