nasib aazmane ke din aa rahe hain
kareeb unnke aane ke din aa rahe hain
jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab unnko sunane ke din aa rahe hain
abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
ke lutne lutane ke din aa rahe hain
tapakne lagi unn nigahon se masti
nigahen churane ke din aa rahe hain
saba phir hamen poochhti phir rahi hai
chaman ko sajane ke din aa rahe hain
chalo 'faiz' phir se kahin dil lagaye
suna hai thikane ke din aa rahe hain
No comments:
Post a Comment