abr-e-bahar ab ke bhi barsa pare pare
gulshan ujaad ujaad hain, jangal hare hare
jaane ye tishnagi hai hawas hai ke khudkushii
jalte hain sham hi se jo sagar bhare bhare
hai dil ki maut ahd-e-waffa ki shikastagi
phir bhi jo koi tark-e-muhbbat kare, kare
ab apna dil bhi sha’r-e-khamoshan se kam nahin
sun'n ho gaye hain kaan sada par dhare dhare
rahte hain ahl-e-shahr ke saaye se duur duur
ham aahwan-e-dasht ki surat, dare dare
gul ban ke phuta hai lahu shakh-saar se
zakhm-e-rag-e-bahar hain patte hare hare
zinda-dilaan-e-shahr ko kya ho gaya 'faraz'
aankhen bujhi bujhi hain toh chehre mare mare
No comments:
Post a Comment