kisi ka yun toh hua kaun umar bhar phir bhi
ye husn-o-ishq toh dhoka hai sab, magar phir bhi
hazar baar zamana idhar se guzra
nayi nayi hai magar kuch teri rahguzar phir bhi
khusha ishaara-e-paiham, zih-e-sukuut nazar
daraaz ho ke fasana hai mukhtasar phir bhi
jhapak rahi hain zamaan-o-makaam ki bhi aankhien
magar hai qaafla aamaada-e-safar phir bhi
palat rahe hain Gariibul vatan, palatnaa tha
voh kuucha ruukash-e-jannat ho, ghar hai ghar, phir bhi
teri nigah se bachne mein umar guzri hai
utar gaya rag-e-jaan mein ye neshtar phir bhi
No comments:
Post a Comment