aashiq sa badnaseeb koi dosra na ho
mashooq khud bhi chahe toh usska bhala na ho
ibaart ka dars hai mujhe har surate-fakeer
hota hai ye khayal koi badshah na ho
kaabe ko ja raha hun nigah suye-dair[buutkhane ki taraf] hai
phir-phir ke dekhta hun, koi dekhta na ho
hai mud_da[demand]-e-ishq hi duniya ke mud-daye
ye mud_da na ho toh koi mud_da na ho
haan ae 'hafiz' chhed ja nagma haaye-waqt[poem of time]
jab tak tera rubabe-sukhan be sada na ho
No comments:
Post a Comment