shole hi sahi aag lagane ke liye aa
phir tuur[mountain] ke manzar[view] ko dhikane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri takdeer bana de
aa apne hi haathon se mitaane ke liye aa
ae dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamali mein chhupane ke liye aa
deewar hai duniya isse raahon se hata de
har rasm muhabat ki mitane ke liye aa
matlab teri aamad se hai daramaan[cure] se nahin
"hasrat" ki kasam dil hi dukhane ke liye aa
No comments:
Post a Comment