chupke chupke raat din ansoo bahana yaad hai
hamko ab tak ashiqui ka vo zamana yaad hai
bahazaara iztiraab-o-sad hazaara ishtiyak
tujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai
tujhse milte hi vo bebaak ho jana mera
aur tera daaton mein vo ungali dabana yaad hai
kheench lena vo mera parde ka kona daffaatan
aur dupatte se tera vo mooh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe vo qasa-e-paabosi mera
aur tera thukra ke sar vo muskurana yaad hai
tujhko jab tanha kabhi pana toh azrahe-lihaaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siva mere tumhara koi deewana na tha
sach kaho kya tumko bhi vo kaar_khana yaad hai
gaiir ki nazron se bachkar sab ki marzi ke khilaaf
vo tera chori chhipe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq
vo tera roa-roa ke mujhko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhoop mein mere bulane ke liye
vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
dekhna mujhko jo bargashta toh sau-sau naaz se
jab mana lena toh phir khud rooth jana yaad hai
chori chori hamse tum aa kar mile thay jis jagah
muddate guzari par ab tak vo thikana yaad hai
berukhi ke saath sunana dard-e-dil ki dastan
aur tera hathon mein vo kangan ghumana yaad hai
waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye
vo tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai
bawjood-e-iddaa-e-ittaqaa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahad-e-havas ka ye fasana yaad hai
No comments:
Post a Comment