be-sabab daman bhigona aa gaya
baat karte karte rona aa gaya
khelta rahta hai mere dil se vo
haath mein usske khilona aa gaya
baithe baithe uth ke chal dete hain ham
ishq mein betaab hona aa gaya
dar-ba-dar hone ka yah inaam hai
har kisi ke dar pe sona aa gaya
ussko pana tha magar paaya nahin
ye hua ki khud ko khona aa gaya
aansuon mein dhal gaya dil ka lahu
iss lahu se munh dhona bhi aa gaya
jab chhua usska badan toh yun laga
haath mein mittii ke sona aa gaya
chand sa chehra, sitare baal mein
raat ko moti pirona aa gaya
lehlaha uthi hain faslem shair ki
'ashq' tumko beej bona aa gaya
No comments:
Post a Comment