Saturday, May 30, 2009

khumar barabanqwi ki shayyiri

aisa nahi ke unnse muhabbat nahi rahi
jazbat mein wo pehli se shiddat nahi rahi
sar mein wo intzaar ki himmat nahi rahi
dil par vo dhadhkano ki hakumat nahi rahi
paiham tawaaf-e-koocha-e-jaana ke din gaaye
pairon mein chalne phirne ki taaqat nahi rahi
chehre ki jhurion ne bhaynak bana diya
aaina dekhne ki bhi himmat nahi rahi
kamzori-e-nigaah ne sanjeeda kar diya
jalvon se ched-chaad ki aadat nahi rahi
allah jaane maut kahan maar gayi 'khumar'
ab mujhko zindagi ki zururat nahi rahi

No comments:

Post a Comment

wel come