Friday, May 22, 2009

kumar paashi ki shayyiri

khush ho ! ae duniya ki, ek achchi khabar le aaye hain
sab ghamon ko hum mana kar apne ghar le aaye hain
iss qadar mehfuuz gosha iss zamiin par ab kahan
hum utha kar dasht mein divar-e-dar ab kahan
sansanate aasman mein uun pe kya guzri na pooch
aane wale khoon mein tar baal-o-par le aaye hain
dekhta hun dyshmanon ka ek lashkar har taraf
kis jagah mujhko ye mere ham-safar le aaye hain
main ik taariki ka dushman, main andheron ka hariif
iss liye mujhko idhar ahl-e-zanar le aaye hain

No comments:

Post a Comment

wel come