kya bhala mujhko parkhane ka natija nikla
zakham-e-dil aap ki nazron se bhi gehraa nikla
tishnagi jam gayi pathar ki tarah honton par
duub kar tere dariya mein main pyaasa nikla
koi milta hai toh apna pata poochta hoon
main teri khoj mein tujhse bhi paray[duur]ja nikla
tod kar dekh liya aaina-e-dil tune
teri surat ke siva aur bata kya nikla
No comments:
Post a Comment