ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolati hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ki rudaad[story] sunaya na karo
ye zaruri nahin har shaks masiah hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
shahr-e-ehasas mein pathrav bahut hain 'mohsin'
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaya na karo
No comments:
Post a Comment