nasir kazmi ki shayyiri
niyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
tu bhi dil se utar na jaaye kahin
aaj dekhaa hai tujhko der ke baad
aaj ka din guzar na jaaye kahin
na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaaye kahin
aarzu hai ki tu yahan aaye
aur phir umar bhar na jaaye kahin
ji jalata hun aur sochta hun
raaegaan yah nahar na jaaye kahin
aao kuchh der ro hi len 'naasir'
phir yah dariya utar na jaaye kahin
No comments:
Post a Comment