Friday, May 29, 2009

nasir kazmi ki shayyiri

zurm-e-inkaar ki saza hi de
mere haq mein bhi kuch suna hi de
shauq mein hum nahi zayada talab
jo tera naz-e-kam nighahi de
tune taaron se shab ki maang bhari
mujhko ek ashq-e-subahegahi de
tune banjar zamiin ko phool diye
mujhko ek zakhm-e-dil kosha hi de
bastion ko diye hain tune chiraah
dasht-e-dil ko bhi koi rahi de
umar bhar ki nawagari ka sila
ae khuda koi hum_nawa hi de
zard roo hain warq khayalon mein
ae shab-e-hizr kuch siyahi de
gar majal-e-sukhan nahi 'nasir'
lab-e-khamosh se gawahi de

No comments:

Post a Comment

wel come