jab kisi se koi gila rakhna
samne apne aaiina rakhna
yun ujaalo se vasta rakhna
shama ke paas hi hawa rakhna
ghar ki taamir chahe jaisi ho
iss mein rone ki jagah rakhna
masziden hai namazion ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
milna-julna jahan zaroori ho
milne-julne ka hausla rakhna
No comments:
Post a Comment