Friday, May 29, 2009

nuh narwi ki shayyiri

taab nahin, sukun nahin, dil nahin ab jigar nahin
apni nazar kidhar uththe koi idhar udhar nahin
roz-o-shab uthte baithte unnki zubaan par nahin
koi nahin ki hadh nahin, sham nahin sahar nahin
koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar vo ghar nahin
itni khabar toh hai zaruur, le gaye dil vo cheen kar
kya hua usska phir maal, usski mujhe khabar nahin
kyun vo idhar udhar phire, kyun ye huduud[boundary] mein rahe
teri nazar toh hai nazar, meri nazar nazar nahin
mujhse bigad kar apne ghar jaaiye, Khaiir jaaiye
aap ne ye samajh liya aah mein kuch asar nahin
dair[temple] ko ham ghatayen kyun, ka’abe ko ham badhayen kyun
kya hai khuda ka ghar yahi, kya vo khuda ka ghar nahin
parde se bahar aaiye, rukh se niqaab uthaaiye
taab-e-jamaal laa sake, itni meri nazar nahin
mujhko khayyal roz-o-shab khaak rahe mazaar mein
aisi jagah hun jis jagah sham nahin, sahar nahin
tegh kahu, sinaan kahu, qah’r kahu, bala kahu
ahl-e-nazar ki raaye mein unnki nazar nazar nahin
darr gaye ahl-e-anjuman teer jo aap ka chala
ussne kaha idhar nahin, ussne kaha udhar nahin
roz ke gham ne iss tarah khuugar-e-zabt-e-gham kiya
dard hamare dil mein hai, shikwa zubaan par nahin
puuchte hain vo haal-e-dil tuul-e-sukhan[long talk] se fayda
so ki ye ek baat hai, keh dun mujhe khabar nahin
unn mein kuch aur baat thi unn mein kuch aur baat hai
hazrat-e-'nooh' ka guman hazrat-e-'nooh' par nahin

nooh narvi

No comments:

Post a Comment

wel come