Friday, May 29, 2009

shahryar ki shayyiri

aise hijr ke mausam ab kab aate hain
tere illawa yaad hume sab aate hain
jazb kare kyon ret hamaare ashkon ko
tera daaman tar karne ab aate hain
ab vo safar ki taab nahi baaki varna
humko bulaave dasht se jab tab aate hain
jaagti aankhon se bhi dekho duniya ko
khwabon ka kya hai, vo har shab aate hain
kaagaz ki kashti mein dariya paar kiya
dekho humko kya-kya kartab aate hain

No comments:

Post a Comment

wel come