chandni hai khushbu hai na saba koi
shab-e-firaq jaise ho karbla koi
suna hai log hamara smajhte hain ussko
na jis sa apna talluk na vaasta koi
judaai aaziyat hai umar bhar ke liye
khuda kare kisi se na ho juda koi
suna hai iss ke bhi chehre pe saaf lafzon mein
likha hua hai ke isska bichad gaya koi
vo dost hota toh iss se shikayten hoti,
ma'khalfon se toh karta nahi gila koi
hum umar se bichde huye hain magar
hmare darmiyan rehta hai rabta koi
mahabton mein nafiz hai zabte
adavton pe bhi aayed karo saza koi
No comments:
Post a Comment