Saturday, May 30, 2009

unknown

dua ka tuuta hua harf sard aah mein hai
teri judai ka manzar abhi nigah mein hai
tere badlne ke ba-wajud tujhko chahaa hai
ye aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai
azaab dega toh phir mujhko khwab bhi degaa
main mutmain hun, mera dil teri panah mein hai
jise bahar ke mehmaan Khali chhod gaye
vo ek makaan abhi tak makeen ki chah mein hai
yahi vo din thay jab ek dusre ko paaya tha
hamari saalgirah theek ab ke maah mein hai
main bach bhi jaaun toh tanhai maar daalegi
mere qabela ka har fard, qatl-gaah mein hai

No comments:

Post a Comment

wel come