phir shab-e-gam ne mujhe shakal dikhai kyonkar
ye bala ghar se nikali hui aayi kyonkar
tune kii gair se meri burayi kyonkar
gar na thi dil mein toh lab par tere aayi kyonkar
tum dilazar-o-sitamgar nahin maine maana
maan jaayegi isse saari khudai kyonkar
aaiina dekh ke vo kahane lage aap hi aap
aise achchoun ki kare koi burai kyonkar
kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam mila
itane se dil mein hai itano ki samayi kyonkar
daag kal tak to dua aap ki maqabul na thi
aaj munh mangi muraad aap ne payi kyonkar
No comments:
Post a Comment