ye aankhen dekh kar hum saari duniya bhuul jaate hain
innhen paane ki dhuun mein har tamanna bhuul jaate hain
tum apni mehaki mehaki zulf ke penchon ko kam kar do
musaafir inn mein girkar apna rasta bhuul jaate hain
ye aankhein jab hamen apni panaahon mein bulati hain
hamen apni kasam hum har sahara bhuul jaate hain
tumhare narm-o-nazuk hont jis dam muskurate hain
bahaaren jhenpati phuul khilana bhuul jaate hain
bahut kuch tumse kahne ki tamana dil mein rakhte hain
magar jab saamne aate ho toh kehna bhuul jaate hain
muhabat mein zubaan chup ho toh aankhein baat karti hain
ye keh deti hain vo baatein jo kehna bhuul jaate hain
No comments:
Post a Comment