na main paas ussko bula saka
na main dil ki baat bata saka
woh hassi hassi mein hi chal diye
ke main hath tak na hila saka
yun hi sochta raha duur tak
magar ussko kuch na bata saka
ye maqam hi tha ajeeb sa ke
main khud ko bhi na bacha saka
vo juda bhi aise hua ke main
koi rasam tak na nibha saka
No comments:
Post a Comment