Saturday, May 30, 2009

unknown

tu nahin toh zindgi mein aur kya reh jayega
duur tak tanhaiyon ka silsila reh jayega
kijiye kya guftgu kya unnse mil kar sochiye
dil-shikasta khwahishon ka zayiqa reh jayega
dard ki sari tahen aur saare guzre haadse
sab dhuwan ho jayenge ek waqiya reh jayega
ye bhi hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga khud uss mein ek khala reh jayega
dayar-e-inkaar ke iqraar ki sargoshiyan
ye agar tuute kabhi toh faasla reh jayega

No comments:

Post a Comment

wel come