Saturday, May 30, 2009

unknown

ye kya ke ek jahan ko karo waqf-e-iztarab
ye kya ke ek jahan ko karo waqf-e-iztarab
ye kya ke ek dil ko shakeban na kar sako
aisa na ho ye dard bane dard-e-lazawal
aisa na ho ke tum bhi mudava na kar sako
shayad tumhen bhi chain na aaye mere bagaiir
shayad ye baat tum bhi gawara na kar sako
kya jane phir sitam bhi mayassar ho na ho
kya jane ye karam bhi karo ya na kar sako
allah kare jahan ko meri yaad bhuul jaye
allah kare ke tum kabhi aisa na kar sako
mere siva kisi ki na ho tum ko justaju
mere siva kisi ki tamanna na kar sako

No comments:

Post a Comment

wel come