aag ka dariya hai aur dhoob kar jaana hain.
masoom mohbbat ka bas itna sa fasana hain
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai
kya shart-e-mohbbat hai kya shart-e-zamana hai
awaaz bhi zakhmi hain aur geet bhi gana hain
uss paar utarne ki umeed bhi kam hain
kashti bhi purani hain aur tufan ko bhi aana hain
samjhe ya na samjhe woh andaz mohbbat ke
ek shaks ko aankhon se ek sher sunana hai
bholi si ada phir koi aaj ishq ki zid par hai
phir aag ka dariya hai aur dhoob kar jana hai
No comments:
Post a Comment