chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaye hum dono
na main tum se koi umeed rakhon dil nawazi ki
na tum meri taraf dekho ghlat andaaz nazron se
na mere dil ki dhadkan ladkadaye meri baato se
na zaahir ho tumhari kashmkash ka raaz nazron se
tumhe jo koi anjuman rokti hai paish qadmi se
mujhe bhi log lehte hai ke yeh jalwe para'ye hai
mere humrah bhi rusvayia hai mere maazi ki
tumhare saath bhi guzri hui raton ke saaye hain
taaruf rog ho jaaye toh usska bhulna behtar
taluq bojh ban jaaye toh usska todna achcha
woh afsana jisay anjaam tak lana na ho mumkin
usse ek khubsurat mod de kar chodna achcha
chalo ek baar phir se ajnabi ban jaaye hum dono
No comments:
Post a Comment