kis ko qaatil main kahun kis ko masiiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun
vo bhi kya din thay ki har veham yaqin hota thaa
ab haqiiqat nazar aaye toh usse kya samajhun
dil jo tuuta toh kai haath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samjhun
zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samajhun
No comments:
Post a Comment