apne khwabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
aankh khulte hi tujhe dhuundhne nikla hoga
zindgi sirf tere naam se mansuub rahe
jaane kitane hi dimagon ne ye socha hoga]
dost ham ussko hi paigaam-e-karam samjhenge
teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
daman-e-ziist mein ab kuch bhi nahin hai baaqi
maut aayi toh yakinan usse dhoka hoga
raushni jis se utar aayi lahu mein mere
ae maseeha vo mera zakhm-e-tamnna hoga
No comments:
Post a Comment