na behte ashq toh taasir mein siva hote
sanaf mein rehte ye moti toh be_baha hote
mujh jaise rind se rakhte zaroor hi ulfat
zanab-e-shekh agar aashiq-e-khuda hote
gunahgaaron ne dekha zamal-e-rehmat ko
kahan nasib ye hota jo bekhata hote
zanaz-e-hazrat-e-naseh ka waah kya kehna
jo ek baat na hoti toh auliya hote
mazak-e-ishq nahin shekh mein ye hai afsoos
ye chashni bhi jo hoti toh kya se kya hote
mehal'l-e-shukr hai 'akbar' ye darfishan nazmein
har ik zaban ko ye moti ata nahin hote
No comments:
Post a Comment