dam labon par tha dil-e-jaar ke ghabarane se
aa gayi jaan mein jaan aap ke aa jaane se
tera kuucha na chhutega tere diwane se
issko qaabe se na matlab hai na buutkhane se
shekh na_feham hai karte jo nahin qadar usski
dil farishton ke mile hain tere diwane se
main jo kehta hun ki marta hun toh farmate hain
kaar-e-duniya na rukega tere marjaane se
kaun hamdard kisi ka hai jahan mein 'akbar'
ek ubharta hai yahan ek ke mit jaane se
No comments:
Post a Comment