phir gayi aapki do din mein tabiyat kaisi
ye waffa kaisi thi sahab ye muravvat kaisi
dost ahbaab se hans bol ke kat jayegi raat
rind-e-aazad hai, humko shab-e-furqat kaisi
jis hasin se hui ulfat vo hi mashooq apna
ishq kis cheez ko kehte hain, tabiyat kaisi
hai jo qismat mein vahi hoga, na kuch kam na siva
aarzu kehte hain kis cheez ko hasrat kaisi
haal khulta nahin kuch dil ke dhadkane ka mujhe
aaj reh reh ke bhar aati hai tabiyata kaisi
kuucha-e-yaar mein jaata toh nazara karta
kais aawara hai jangal mein ye vehshat kaisi
No comments:
Post a Comment