jaanta hun main shab-e-wasal ki kotahi ko
ye dua hai ki meri umar se kotaah na ho
ye adayein, ye lagawat, ye bala ki chitvan
main toh kya, zabt farishton se bhi wallah na ho
ik zaman hai mere qissa-e-gham se waakif
isska baai's jo hai shayad vahi aagah na ho
chashm-e-kaafir ka ishara hai ke imaan kaisa
chehra hansta hai ki dekho koi gumrah na ho
khaiir_khwah aaj zamane mein kahan milte hain
hai yahi laakh ganimat koi bad_khwah na ho
No comments:
Post a Comment