har qadam kehta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye
kya mujhe khush aaye ye hairat saraaye be-sabaat
hosh uddne ke liye hai, jaan jaane ke liye
khoob ummedien bandhi lekin hui hirmaan[niraash] naseeb
badliyan uthi magar bijli girane ke liye
jab kaha maine bhula do gaiir ko hans kar kaha
yaad phir mujhko dilana bhool jaane ke liye
deeda-baazi vo kahan, aankhen raha karti hain bandh
jaan hi baqi nahi ab dil lagane ke liye
mujhko khush aayi hai masti, shekh ji ko farbahi
main hun peene ke liye aur vo hain khane ke liye
sur kahan ke saaz kaisa, kaisi bazm-e-saamien[sunane wale]
josh-e-dil kaafi hai 'akbar' taan uddane ke liye
No comments:
Post a Comment