kin lafzon mein itni kadwi, itni kaseeli baat likhon
sh'air ki main tehzeeb nibhaon ya apne haalat likhon
gham nahin likhon kiya main gham ko ? jashn likhon kiya maatam ko ?
jo dekhe hain maine janaze kiya unnko baarat likhon ?
kaise likhon chand ke qisse, kaise likhon phool ki baat
reit udaye garm hawa toh kaise main barsaat likhon ?
apni apni taareeki ko log ujala kehte hain
tareeki ke naam likhon toh qaumen, firqe, zaat likhon
jaane kaisa daur hai jis mein yeh jurrat bhi mushkil hai
din ho gar toh ussko likhon, raat agar ho raat likhon
No comments:
Post a Comment