Saturday, June 20, 2009

asmat ki shayyiri

aitemad tha apna keh zakhm zakhm hun ab
gunah apna hai ussko muaff kya karta
woh apne aap tha apni nigah mein muzrim
phir apne zurm se main inheraaf kya karta
bichadte lamhe badi der tak roya tha wo
woh iss se badh kar mera aitraf kya karta
yahan toh pal mein badal lete hain khuda bhi kai
woh saari umar mera tawaaf kya karta
woh khush tha phir na milenge kabhi ae 'asmat'
bas itni si baat pe main ikhtelaaf kya karta

No comments:

Post a Comment

wel come