Saturday, June 6, 2009

ateeq hasan khan saba ki shayyiri

dosti mein usski shamil bughz ka unsar bhi tha
phool thay haathon mein zer-e-aastein khanjar bhi tha
aaj majboori ne meri rakh diya hai kaat kar
varna inn khuddar shanon par mere ek sar bhi tha
khoogar-e-sehra nawardi ho gaya hun iss qadar
bhool baitha hun kisi basti mein mera ghar bhi tha
kaun badhta phir bhala meri madad ke vaste
mera dushman sahib-e-zar aur taqatvar bhi tha
phoonk daale jis ne kitne hi gareebon ke makan
aag ke sholon ki zad par aaj usska ghar bhi tha
hausla afzayi mein meri raha jo pesh pesh
raah ka meri vohi sabse bada pathar bhi tha
main hi tanha toh nahin tha ishq mein ruswa 'saba'
ek chhota hi sahi ilzaam usske sar bhi tha

No comments:

Post a Comment

wel come