dil pe karte hain dimaagon pe asar karate hain
ham ajab log hain zehanon mein safar karte hain
jab saraape pe kahin usske nazar karte hain
meer saahab ki tarah umar basar karte hain
bandishen hamko kisi haal gavara hi nahin
ham toh vo log hain diiwaar ko dar karte hain
waqt ki tez-kharami hamen kya rokegi
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain
naqsh-e-pa apna kahin raah mein hota hi nahin
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain
ham-nashin khuub hai ye mahfil-e-yaaran ke yahan
vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain
kya kahen haal tera ae mutamaddin duniya
janwar bhi nahin karte jo bashar karate hain
hamko dushman ki bhi taqleef gavara na hui
log ehbaab se bhi sarf-e-nazar karate hain
marqadon pe toh charaagaan hai shab-o-roz magar
umar kuch log adheron mein basar karate hain
tazkara meer ka gaalib ki zaban tak aaya
aitaraf-e-hunar, arbaab-e-hunar karate hain
No comments:
Post a Comment