Saturday, June 20, 2009

bashir badr ki shayyiri

pathar ke jigar walon gham mein vo ravani hai
khud raah bana lega behta hua pani hai
phoolon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
iss mein teri zulfon ki be_rabt kahani hai
ek zahan pareshan mein vo phool sa chehra hai
pathar ki hifazat mein shishe ki javani hai
kyun chandni raaton mein dariya pe nahate ho
soye huye paani mein kya aag lagani hai
iss hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pehna
hans kar koi puchega kya jaan ganwani hai
rone ka asar dil par reh reh ke badlta hai
aansu kabhi shisha hai aansu kabhi paani hai
ye shabnami lehja hai ahista ghazal padhna

No comments:

Post a Comment

wel come