aaiye haath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yaad nahin
ham jinhen soz-e-mohbbat ke siva
koi butt koi khuda yaad nahi
aaiye arz guzaren ke nigaar-e-hasti
zehr-e-imroz mein sheereeni-e-farda bhar de
vo jinhen taab-e-giraan-baari-e-ayyaam nahin
unn ki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki aankhon ko rukh-e-subha ka yaara bhi nahin
jinke qadmon ko kisi raah ka sahara bhi nahin
unnki nazron pe koi raah ujaagar kar de
jinka deen peirvi-e-kizb-o-rayaa hai unnko
himmat-e-kufr mile,jurrat-e-tehqeeq mile
jinke sar muntazir-e-taigh-e-jaffa hain unnko
dast-e-qaatil ko jhatak dene ki tofeeq mile
ishq ka sirr-e-nehaan jaan tapaan hai jis se
aaj iqraar karen aur tapish mit jaaye
harf-e-haq dil mein khatkta hai jo kaante ki tarha
aaj izhaar karen aur khalish mit jaaye...
No comments:
Post a Comment