mit gaya jab mitane wala phir salaam aaya toh kya
dil kii barbaadi ke baad unnka payam aaya toh kya
chhut gayin nabzen ummiiden dene waali hain jawab
ab udhar se naambar le ke payam aaya toh kya
aaj hi mitanaa tha ae dil hasrat-e-diidar mein
tu meri naakaamiyon ke baad kaam aaya toh kya
kaash apni zindgi mein ham ye manzar dekhte
ab sar-e-turbat koi mahashar[day of judgement]-khiraam[walk (style of)] aaya toh kya
saans ukhadi aas tuuti chha gaya jab rang-e-yaas
naamabar laaya toh kya Khat mere naam aaya toh kya
mil gaya vo khaak mein jis dil mein tha armaan-e-deed
ab koi khurshiid-vash baala-e-baam aaya toh kya
No comments:
Post a Comment