dikha ke neecha kisi ko hidayaten kaisi
dara ke itna kisi ko hifazaten kaisi
dilo ko dena khushi bhi sawab hota hai
dukha ke dil ko kisi ke ibaadate kaisi
paraye dard pe aansu bhi kuch bahaya karo
khud apne dard pe rone ki aadatien kaisi
ye zindgi bhi khuda ki ek aazmaish hai
toh zindgi ke gamon ki shikayaten kaisi
gareeb logon ko apna banaye rakhiyega
faqat ameeron se milna sharaften kaisi
hamesha darna badno se darana chhotnn ko
hamari duniya ki yeh hain rawayaten kaisi
buraiyon ko aur aibon ko doondna sab mein
hamare khoon mein aayi hain khaslate kaisi
hai zindagi ka safar toh nibhana rishton ka
zara si baat pe aapas mein nafraten kaisi
bahut hi thodi si hoti hai zindagi 'asif'
toh mukhtsar se safar mein adavaten kaisi
great poetry
ReplyDelete